kya koi kam-zarf hai ya be-nawa hai aaina pher deta hai wahi jo dekhta hai aaina us ka hona ya na hona is tarah mujh par khula aaine ke samne jaise rakha hai aaina chor darwaze se ghus aae bahut be-chehra log aaina-khane mein tanha rah gaya hai aaina muddaton ke aashna ne bhi nigahen pher lin chhodiye jaane bhi dije aaina hai aaina main sikandar-azm hun farda pe hai meri nazar ghair jo dekhen to pichhe dekhta hai aaina fikr ki saiqal se gar 'mukhtar' ho raushan zamir aainon mein is se behtar kaun sa hai aaina