kya muqaddar mein hai khuda jaane nind mein chal rahe hain diwane sanaten shahar mein ujadengi ganw to kar diye hain virane main ne sach bolne key thani hai koi aae na mujh ko samjhane meri aankhon mein ye nami kaisi kaun roya hai mere sirhane zarf awwal hai ishq mein 'mansur' ungliyan kat lin zulekha ne