kya yahi us ka mudawa na hua ek bimar jo achchha na hua chaar tinke hi sahi jal to gae kya mere dam se ujala na hua un ki qurbat hi sahi hasil-e-zist ye to andaz-e-tamanna na hua hai tamanna-e-tulu-e-khurshid aur agar phir bhi sawera na hua pursish-e-gham to hui thi lekin hum se izhaar-e-tamanna na hua lazzat-e-dard-e-mohabbat ke sabab hum ko marna bhi gawara na hua gham ne wo bazm sajai 'ehsas' main zara der ko tanha na hua