kya zarurat be-zarurat dekhna tum na aaine ki surat dekhna phir gain bimar-e-gham ko dekh kar apni aankhon ki murawwat dekhna hum kahan ai dil kahan didar-e-yar ho gaya teri badaulat dekhna hai wo jab dil mein to kaisi justuju dhundne walon ki ghaflat dekhna samne tarif pichhe galiyan un ki munh dekhi mohabbat dekhna jin ko baqi hi na ho ummid kuchh aise mayuson ki hasrat dekhna mera khat ye kah ke ghairon ko diya ek zara is ki ibarat dekhna aur kuchh tum ko na aaega nazar dil mein rah kar dil ki hasrat dekhna subh uth kar dekhna 'ahsan' ka munh aise waison ki na surat dekhna