kyon bhala chilman ko sarkane pe wo mail nahin

kyon bhala chilman ko sarkane pe wo mail nahin
kaun sa dariya hai wo jis ka koi sahil nahin

dar-haqiqat hai yahi mearaj-e-ishq-o-ashiqi
mere us ke darmiyan ab koi bhi hail nahin

us ki shamshir-e-nazar ne chaak kar dala jigar
bewafa hote hue lagta hai wo buzdil nahin

padh liya aankhon ke khame se likhi tahrir ko
maslak-e-ushshaq shahid hai ki main jahil nahin

ishq ke chehre pe badnami ka ghaza mal diya
koi chadar koi parda koi bhi mahmil nahin

qabl-az-ruswai is ahqar se kar lete sawal
zahiran to sakht hun lekin main patthar-dil nahin

ban sake jo aap ke maghrur mathe ka tilak
kya hamare khun ki surkhi bhi is qabil nahin

meri ghurbat dekh kar patthar bhi khun roya kiye
jab ki be-jaanon ke sinon mein koi bhi dil nahin

koi nala koi girya koi aansu koi aah
koi fariyaad-e-alam-angez la-hasil nahin

hun tanin-e-ishq ki wadi mein misl-e-gum-shuda
yaad-e-yaran se mubarra koi si mahfil nahin

dar-ba-dar qarya-ba-qarya ku-ba-ku diwana-war
har jagah dhunda use lekin koi hasil nahin

khastagi se sar jhuka kar qalb mein jab ki nazar
tab laga us zat se ek lamha khali dil nahin

mustaqil main kar raha hun aatishi dariya ubur
qasd-e-mohkam ho to koi kaam bhi mushkil nahin

ai 'falak' main ne jala dali hain sari kashtiyan
kyunki is manzil se aage koi bhi manzil nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close