kyun dekhiye na husn-e-KHuda-dad ki taraf

kyun dekhiye na husn-e-khuda-dad ki taraf
lazim nazar hai gulshan-e-ijad ki taraf

pae jo tere gosha-e-dastar ki hawa
qumri udi na turra-e-shamshad ki taraf

be-asl ai falak nazar aata hai tu mujhe
karta hun ghaur jab teri buniyaad ki taraf

gulshan mein kaun bulbul-e-nalan ko de panah
gulchin o baghban bhi hain sayyaad ki taraf

mazlum hun magar nahin milta koi gawah
hain ahl-e-hashr is sitam-ijad ki taraf

nadan kahin panah nahin maut se tujhe
kya dekhta hai qila-e-faulad ki taraf

ham-jins ko zarur hai ham-jins ka khayal
raghbat na ho bashar ko pari-zad ki taraf

mazmun kamar ka hath na aaya jo dahr mein
jaana pada mujhe adam-abaad ki taraf

taklif ju-e-shir ki de kar jo thi khajil
shirin na dekh sakti thi farhad ki taraf

diwangi ka zor tamasha hai ai pari
fassad ki nigah hai haddad ki taraf

gardan jhukae shauq-e-shahadat mein hun rawan
dil le chala hai kucha-e-jallad ki taraf

umid-war chashm-e-inayat ka hai gharib
dekho to ek nazar dil-e-nashad ki taraf

naseh agar sitam na sahen hum to kya karen
dil daudta hai yar ki be-dad ki taraf

bulbul samajh rahi hai ki gulha-e-khanda-ru
rakhte hain kan nala-o-fariyaad ki taraf

fazl-e-khuda se apni tabiat hai be-niyaz
ru-e-talab kabhi na hua dad ki taraf

waiz se sun ke qamat-e-tauba ki khubiyan
dauda khayal ek qad-e-azad ki taraf

bhule hue hain sare zamane ki nematen
mailan-e-dil jinhen hai teri yaad ki taraf

ya shah-e-jinn-o-ins 'asar' par bhi ek nazar
rakhta hai aankh aap ki imdad ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close