kyun na mahken gulab aankhon mein hum ne rakkhe hain khwab aankhon mein raat aai to chand sa chehra le ke aaya sharab aankhon mein dekho hum ek sawal karte hain likh rakhna jawab aankhon mein is mein khatra hai dub jaane ka jhankiye mat janab aankhon mein kabhi aankhen kitab mein gum hain kabhi gum hain kitab aankhon mein koi rahta tha raat din 'alwi' inhin khana-kharab aankhon mein