kyunki hum duniya mein aae kuchh sabab khulta nahin ek sabab kya bhed wan ka sab ka sab khulta nahin puchhta hai haal bhi gar wo to mare sharm ke ghuncha-e-taswir ke manind lab khulta nahin shahid-e-maqsud tak pahunchenge kyunkar dekhiye band hai bab-e-tamanna hai ghazab khulta nahin band hai jis khana-e-zindan mein diwana tera us ka darwaza pari-ru roz o shab khulta nahin dil hai ye ghuncha nahin hai is ka uqda ai saba kholne ka jab talak aawe na dhab khulta nahin ishq ne jin ko kiya khatir-girafta un ka dil lakh howe garche saman-e-tarab khulta nahin kis tarah malum howe us ke dil ka muddaa mujh se baaton mein 'zafar' wo ghuncha-lab khulta nahin