la ke duniya mein hamein zahr-e-fana dete hain hae is bhul-bhulayyan mein dagha dete hain rahm bhi zulm-o-sitam se nahin khali un ka daman-e-tegh se zakhmon ko hawa dete hain dil mein dard aankhon mein aashob-e-jigar mein sozish ishq kya dete hain ek rog laga dete hain munimon ka nahin daryuza-garon par ehsan aap kya denge wo khaliq ka diya dete hain dahan-e-yar ki tarif likhi kya kahna 'qadr' to jhut ko sach kar ke dikha dete hain