la-makan lag aashiqan ke ishq ka parwaz hai aasman aur arsh-o-kursi un ka pa-andaz hai ek tafakkur un ka afzal az-taat-e-hafta-o-sal sab khalaiq par unhon ka is sabab eazaz hai aaliman aur aabidan ki bandagi sab qil-o-qal aashiqan ke dil mein raushan jo ki makhfi raaz hai mutu-qabla-an-tamutu haal hai ushshaq ka aaliman ke gosh mein us harf ka aawaz hai bul-hawas ko shama se dil bandhna mumkin nahin aashiqan ka is sabab zahid sada aghmaz hai khair o shar sun aashiqan be-dil nahin aur bujhte ranj o rahat ishq mein mashuq ka sab naz hai tal gae is marke sun kai hazaran ai 'alim' jo raha so nam us ka aashiq-e-jaan-baz hai