la phir ek bar wahi baada o jam ai saqi hath aa jae mujhe mera maqam ai saqi tin sau sal se hain hind ke mai-khane band ab munasib hai tera faiz ho aam ai saqi meri mina-e-ghazal mein thi zara si baqi shekh kahta hai ki hai ye bhi haram ai saqi sher mardon se hua besha-e-tehqiq tahi rah gae sufi o mulla ke ghulam ai saqi ishq ki tegh-e-jigar-dar uda li kis ne ilm ke hath mein khali hai niyam ai saqi sina raushan ho to hai soz-e-sukhan ain-e-hayat ho na raushan to sukhan marg-e-dawam ai saqi tu meri raat ko mahtab se mahrum na rakh tere paimane mein hai mah-e-tamam ai saqi