lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai wahi husain wahi qatilon ka lashkar hai ye kis maqam pe lai hai zindagi hum ko hansi labon pe hai sine mein gham ka daftar hai yaqin kis pe karen kis ko dost thahraen har aastin mein poshida koi khanjar hai gila nahin mere honton pe tang-dasti ka khuda ka shukr mera dil abhi tawangar hai koi to hai jo dhadakta hai zindagi ban kar koi to hai jo hamare dilon ke andar hai use qarib se dekha to ye hua malum wo bu-e-gul nahin shamshir-e-baad-e-sarsar hai samajh ke aag lagana hamare ghar mein tum hamare ghar ke barabar tumhaara bhi ghar hai meri jabin ko haqarat se dekhne wale meri jabin se tera aastan munawwar hai tumhaare qurb ki lazzat nasib hai jis ko wo ek lamha hayat-e-abad se behtar hai hamara jurm yahi hai ki haq-parast hain hum hamare khun ka pyasa har ek khanjar hai wo mere samne aae to kis tarah aae koi libas hai us ka na koi paikar hai har ek bala se bachae hue hai jo hum ko hamare sar pe ye man ki dua ki chadar hai bhatak raha hun main sadiyon se dasht-e-ghurbat mein koi to mujh ko batae kahan mera ghar hai abhi 'hafiz' gulabon ki baat mat kije lahuluhan abhi gulsitan ka manzar hai