lab pe ek nam jab aata hai to ro lete hain koi ji-bhar ke rulata hai to ro lete hain chandni-raat ki mahki hui tanhai mein saz-e-gham par koi gata hai to ro lete hain nur-o-nikhat ki fazaon ka dil-awez saman dil mein jab aag lagata hai to ro lete hain aaj bhi hadsa-e-dard-e-mohabbat ki qasam pyar jab koi badhata hai to ro lete hain aarzuon ki ujadi hui mahfil mein kahin sham-e-dil koi jalata hai to ro lete hain koi anjaan masiha koi gham ka sathi qissa-e-dard sunata hai to ro lete hain dil ki galiyon se tasawwur ki hasin wadi se jab koi ruth ke jata hai to ro lete hain jaane kis zakhm-e-mohabbat ka khayal aata hai pyar se koi bulata hai to ro lete hain ab bhi ummid ke soe hue zakhmon ko 'rais' jab koi aa ke jagata hai to ro lete hain