lab pe hai fariyaad ashkon ki rawani ho chuki ek kahani chhid rahi hai ek kahani ho chuki mehr ke parde mein puri dil-sitani ho chuki banda-parwar rahm kijiye mehrbani ho chuki mera dil taka gaya jaur o jafa ke waste jab ki pure rang par un ki jawani ho chuki jaiye bhi kyun mujhe jhuti tashaffi dijiye aap se aur mere dil ki tarjumani ho chuki aa gaya ai sunne wale ab mujhe pas-e-wafa ab bayan rudad-e-dil meri zabani ho chuki aakhiri aansu meri chashm-e-alam se gir chuka sunne walo khatm ab meri kahani ho chuki hum bhi tang aa hi gae aakhir niyaz o naz se han khusha qismat ki un ki mehrbani ho chuki sunne wale surat-e-taswir baithe hain tamam hazrat-e-'bahzad' bas jadu-bayani ho chuki