lab pe kisi ujdi hui jagir ka matam har lafz mera halqa-e-zanjir ka matam dil mein kahin bujhte hue armanon ka nauha aankhon mein kisi yaad ki taswir ka matam har soch mein sangin fazaon ka fasana har fikr mein shamil hua tahrir ka matam jab se hua malum ki ye chand hai patthar karta hun main ab chand ki taskhir ka matam har harf mera karb-e-musalsal ki ghutan mein karta hai mere khana-e-dil-gir ka matam