labon pe apne gulabon ki tazgi rakhna magar mizaj haqiqat mein aatishi rakhna kabhi kabhi shab-e-haalat ke andheron mein bahut zaruri hai aankhon ko shabnami rakhna yahi mazaq bahut umda hai jawani mein makan-e-shauq mein mehman ajnabi rakhna bahut khulus se ahbab mujh se kahte hain zaban bayan mein ye andaz daimi rakhna sabaq mila yahi aslaf se mujhe 'anwar' ghazal mein husn-o-latafat ki chashni rakhna