labon pe shikwa-e-ayyam bhi nahin hota zaban pe ab to tera nam bhi nahin hota kabhi kabhi use sochun to soch leta hun kabhi-kabhaar ye ek kaam bhi nahin hota ye mai-kada hai nahin mai-kasho ye dhoka hai yahan to nashsha tah-e-jam bhi nahin hota nahin ye dard nahin ye zarur hai kuchh aur ki us mein to mujhe aaram bhi nahin hota wo ajnabi sa rawayya wo dil-shikan andaz jab un ke honton pe ilzam bhi nahin hota tere baghair masafat mein pul-siraat hua wo rahguzar jo do gam bhi nahin hota 'sahar' tum us se mulaqat kaise karte ho wo shakhs ab to lab-e-baam bhi nahin hota