ladkhadate hue bhi aur sambhalte hue bhi us ke dar par hi gae khwab mein chalte hue bhi ishq aasar thi har rahguzar us ki thi hum bhatak sakte na the rah badalte hue bhi ishq hai ishq ba-har-haal numu paega yani jalte hue bhi aur pighalte hue bhi zindagi tere faqat ek tabassum ke liye hum ki hanste hi rahe dard mein dhalte hue bhi ek muddat se hain hum ishq mein aawara ba-kar yani ek umr hui phulte-phalte hue bhi silsila tujh se hi tha tere talab-garon ka barf hote hue bhi aag mein jalte hue bhi bin tere aisa andhera tha mere andar yar dar laga ishq ke suraj ko nikalte hue bhi