lafzon ke but tut chuke hain kora kaghaz pada hua hai gidh ne kab zindon ko nocha sher ne kab murdon ko chhua hai apni apni bin sambhaalo suna hai shahr mein nag aaya hai gunge bol rahe hain patthar sannata reza reza hai ghar ka kuan bhi be-masraf sa sagar mein tezab bhara hai saunp gai hai khud ko mujhe wo hara bhara din aawara hai naddi mein ji bhar ke nahaen kuan badan se bhar jata hai