lage khadang jab us nala-e-sahar ka sa falak ka haal na ho kya mere jigar ka sa na jaunga kabhi jannat mein main na jaunga agar na howega naqsha tumhaare ghar ka sa kare na khana-kharabi teri nadamat-e-jaur ki aab-e-sharm mein hai josh chashm-e-tar ka sa ye josh yas to dekho ki apne qatl ke waqt dua-e-wasl na ki waqt tha asar ka sa lage un aankhon se har-waqt ai dil-e-sad-chaak tera na rutba hua kyun shigaf-e-dar ka sa zara ho garmi-e-sohbat to khak kar de charkh mera surur hai gul-khanda-e-sharar ka sa ye na-tawan hun ki hun aur nazar nahin aata mera bhi haal hua teri hi kamar ka sa junun ke josh se begana-war hain ahbab hamara haal watan mein hua safar ka sa khabar nahin ki use kya hua par is dar par nishan-e-pa nazar aata hai nama-bar ka sa dil aise shokh ko 'momin' ne de diya ki wo hai muhib husain ka aur dil rakhe shimar ka sa