lagega ajnabi ab kyon na shahr bhar mujh ko bacha gaya hai nazar tu bhi dekh kar mujh ko main ghum phir ke usi samt aa nikalta hun jakad rahi hai tere ghar ki rahguzar mujh ko jhulas raha hai badan zer-e-saya-e-diwar bula raha hai koi dasht-e-be-shajar mujh ko main sang-dil hun tujhe bhulta hi jata hun main hans raha hun to mil ke udas kar mujh ko main dekhta hi rahunga tujhe kinare se tu dhundhta hi rahega bhanwar bhanwar mujh ko bani hain tund hawaon ki zard diwaren uda raha hai magar shoala-e-safar mujh ko bana diya hai nidar ziddi khwahishon ne 'nasim' khud e'timad na tha apne aap par mujh ko