lamha lamha wusat-e-kaun-o-makan ki sair ki aa gaya so khub main ne khak-dan ki sair ki ek lamhe ke liye tanha nahin hone diya khud ko apne sath rakkha jis jahan ki sair ki tujh se mil kar aaj andaza hua hai zindagi pahle jitni ki wo goya raegan ki sair ki nind se jage hain koi khwab bhi dekha hai kya dekha hai to boliye shab-bhar kahan ki sair ki thak gaya tha main badan mein rahte rahte ek din bhag nikla aur ja kar aasman ki sair ki yaad hai ek ek gosha naqsh hai dil par hanuz sair to wo hai jo shahr-e-dil-baran ki sair ki phul hairat se hamein dekha kiye waqt-e-visal gul-badan ke sath 'azar' gulistan ki sair ki