larazti chhat shikasta baam-o-dar se baat karni hai mujhe tanhai mein kuchh apne ghar se baat karni hai bikharne ke marahil mein sahaara kyun diya mujh ko meri mitti ne dast-e-kuza-gar se baat karni hai kiya tha jaan de ke hum ne kar-e-ashiyan-bandi jalaya kis liye barq-o-sharar se baat karni hai muqabil husn jab aae sitam-zadon ki mahfil mein zaban ko qaid karna hai nazar se baat karni hai badal dala hai duniya ko jo firaunon ki basti mein khuda ne aaj shayad phir bashar se baat karni hai mere panw mein dali hai ye zanjir-e-asaish jo sae bantta hai us shajar se baat karni hai jo mujh mein dusra hai sab jise 'mansur' kahte hain mujhe bhi aaj us shorida-sar se baat karni hai