lazzat-e-dard-e-jigar dost badha deta hai zakhm rista hai to kuchh aur maza deta hai mere zakhmon pe namak roz chhidak deta hai jaane kis jurm ki wo mujh ko saza deta hai talkh baaton se mere dil ko dukhata hai roz mera ho ke mere zakhmon ko hawa deta hai rang beta bhi badal leta hai girgit ki tarah waqt padne pe hamesha wo dagha deta hai jab bhi be-parda tasawwur mein chala aata hai meri nazron mein koi khwab saja deta hai aag sine mein mohabbat ki sulag jati hai wo nigahon se mujhe jab bhi pila deta hai dub jata hai sar-e-sham wo suraj to magar khwahishen raat ke sine mein daba deta hai tere aane ki tamanna mein hi rahta hai 'mukesh' teri rahon mein ye palkon ko bichha deta hai