le ke KHud pir-e-mughan hath mein mina aaya

le ke khud pir-e-mughan hath mein mina aaya
mai-kasho sharm ki is par bhi na pina aaya

na pilana kisi mai-kash ko na pina aaya
tujh ko zahid agar aaya bhi to kina aaya

umr bhar khun-e-jigar baith ke pina aaya
aarzuo tumhein marna hamein jina aaya

dil ne dekha mujhe aur main ne falak ko dekha
bach ke sahil pe agar koi safina aaya

kisi badmast ki yaad aa gain aankhen saqi
jab chhalakta hua aage mere mina aaya

ek zara si thi kabhi ki khalish us par ai hashr
dil mein leta hua zahid wahi kina aaya

ladkhadana koi sikha koi sikha masti
hum ko aaya to faqat dhaal ke pina aaya

khush ho ai chashm ki hai fasl yahi rone ki
muzhda ai abr ki sawan ka mahina aaya

pi hi leni thi jo mai-khane ko aa nikla tha
tujh ko sohbat ka bhi zahid na qarina aaya

chaha jo kuchh wo zamane ne kiya naqsh is par
main to sada liye is dil ka nagina aaya

aaj tak daman-e-gul chaak hai khayyat-e-azal
tujh ko khilat bhi hasinon ka na sina aaya

dekh chaaron taraf apne ki tamasha kya hai
le ke is bazm mein tu dida-e-bina aaya

munh pe aashiq ke mohabbat ki shikayat naseh
baat karne ka bhi nadan na qarina aaya

kis tarah milte hain bichhdon se dikha denge kabhi
dil mein wo tir agar chir ke sina aaya

dhaal kar dete hain kis ko kise be-dhaale hue
mere saqi ko to ye bhi na qarina aaya

zindagi karte hain kis tarah ye sikho is waqt
'shad' kya nafa agar marne pe jina aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close