logon ke murshad ek taraf aur zehn mein shayad ek taraf lekin kahne ko zinda hain marna sau fisad ek taraf aawazen qaid nahin hotin had ho ya sarhad ek taraf tum aao to ho sakta hai jine ka maqsad ek taraf ab tak jau bhi tahrir hua tere nam ke abjad ek taraf duniya mein sab kuchh fani hai tere khal-o-khad ek taraf hum thahre hue raston se hain ye rukhsat-o-amad ek taraf naqshe kaghaz ke tukde hain sine mein sarhad ek taraf insan khata ka putla hai albatta murtad ek taraf bas nam rahe ga allah ka baqi shadd-o-mad ek taraf