lutf kya hai be-khudi ka jab maza jata raha yun na manun main magar saghar to samjhata raha taq se mina utara panw mein laghzish hui ki na saqi se barabar aankh sharmata raha mujh sa ho mazbut dil tab mai-kashi ka nam le mohtasib dekha kiya majbur jhhallata raha kya karun aur kis tarah us be-qarari ka ilaj yar ke kuche mein bhi to dil ka bahlata raha naujawan qatil ko achchhi dil-lagi hath aa gai jab talak kuchh dam raha bismil ko thukraata raha 'shad' waqt-e-naza tha khamosh lekin der tak nam rah rah kar kisi ka zer-e-lab aata raha