maal-e-ashiqi hai apni hasti se guzar jaana kamal-e-zindagi hai maut se pahle hi mar jaana kalisa se gharaz mujh ko na matlab dair-o-kaba se jabin ne meri har zarre ko tera sang-e-dar jaana zamana us ki qismat par hamesha naz karta hai mayassar ho jise mahbub ke kuche mein mar jaana wo bazm-e-ghair mein jaane lage hain shauq se jaen magar turfa-sitam hai mere kuche se guzar jaana 'kamal' un ki ayaadat ek qayamat kar gai barpa shikan mathe pe padna aur mariz-e-gham ka mar jaana