madawa-e-junun sair-e-gulistan se nahin hota rafu-e-chaak-e-dil tar-e-gareban se nahin hota ba-juz manzil kahin rahat nahin milti musafir ko ilaj-e-abla-pai bayaban se nahin hota hijab-e-dost ne bakhsha hai wo lutf-e-yaqin dil ko ki ye aasuda ab husn-e-numayan se nahin hota jila hoti hai zarf-e-zist par tanqid-e-dana se mudawa nafs ka chashm-e-sana-khwan se nahin hota ba-qadr-e-zarf fitrat karti hai baalidgi dil ki ye wo kar-e-aham hai jo dabistan se nahin hota kiya hai ru-shanas-e-afw main ne teri rahmat ko liya wo kaam isyan se jo iman se nahin hota jigar ke dagh hi marqad mein kaam 'ejaz' aaenge ujala aisi zulmat mein charaghan se nahin hota