magar wo diya hi nahin man kar ke bahut hum ne dekha hai ji jaan kar ke kabhi dil ko bhi sair kar jao sahab ye ghuncha bhi haiga gulistan kar ke nazar is sarape mein sau ja se palti zulekhai yusufistan kar ke wo jis roz niklen jag ujiyarne ko ye dil bhi dikha laiyo dhyan kar ke janab aap hur o malak honge lekin samajhiyega aashiq ko insan kar ke teri lala-zari salamat ki hum bhi khade hain koi ghuncha arman kar ke masih o khizr sar-ba-kaf phir rahe hain koi us pe marna hai aasan kar ke meri kisht-e-jaan par se guzra hai 'jawed' sahab-e-junun zor-e-baran kar ke