mahfil mein aate jate hain insan nae nae ab to chalan liye hain meri jaan nae nae us zulf o rukh ke ishq ka charcha hua ye kuchh hairan nae nae hain pareshan nae nae aa aa ke apni apni sunata hai har koi zakhm-e-jigar pe hain namak-afshan nae nae mujh ko suna ke kahte hain logon ko is se kya andaz hum ne sikhe hain han han nae nae aa jaen hum bhi yaad kisi baat par kabhi aashiq hue hain ab to meri jaan nae nae har dam nai nai hai khalish meri jaan ko lati hai ranj-o-gham shab-e-hijran nae nae baaton par un ki kyun na yaqin aae phir mujhe qasmen nai nai hain to paiman nae nae gar ab ke wasl ho to na manun mein ek bhi dil ke nikalun hasrat-o-arman nae nae sau sau tarah satati hai ek ek ki yaad ab shab aap ne kiye the jo ehsan nae nae kis kis ki roz roz khushamad kiya karen hote hain un ke dar pe to darban nae nae ummid bhi kabhi kabhi naumidi hai mujhe dikhlati rang hai shab-e-hijran nae nae koi to aaj aaega phir kis liye 'nizam' tajwizen hain nai nai saman nae nae