mahfil mein ab ke aao to aisi khata na ho rang-e-libas rang-e-badan se siwa na ho itna to rang pahle faza mein kabhi na tha udti hui kahin koi us ki qaba na ho uljhan si hone lagti hai mere charagh ko kuchh din muqable pe jo us ke hawa na ho sari alamaten to hain aaghaz ishq ki dekho to jism-o-jaan mein koi gul khila na ho