mahfil mein shor-e-qulqul-e-mina-e-mul hua la saqiya pyala ki tauba ka qul hua jin ki nazar chadha tera rukhsar-e-atishin un ka charagh-e-gor na ta-hashr gul hua banda-nawaziyan to ye dekho ki aadmi juzw-e-zaif mahram-e-asrar-e-kul hua dariya-e-gham se mere guzarne ke waste tegh-e-khamida yar ki lohe ka pul hua parwana bhi tha garm-e-tapish par khula na raaz bulbul ki tang-hauslagi thi ki ghul hua aai tahi-daron ki na hargiz samajh mein baat aawaza go buland misal-e-duhul hua us bin raha chaman mein bhi main 'zauq' dil-kharash nakhun se tez-tar mujhe har barg-e-gul hua