mahsus jo karte ho ye halchal mere andar kuchh tutta rahta hai musalsal mere andar honthon pe tabassum ke gulabon ki numaish hai nag-phani ka koi jangal mere andar mushkil hai ki ye pyas meri kaise mitegi sahra hain mere honth to baadal mere andar is bar jo us ne mujhe bahar se sameta is bar hua khwab mukammal mere andar is ruh ko aazad karo jism se jaldi mar jae na ghut ghat ke ye pagal mere andar