mahw-e-hairat hun mera Khaar ne rasta dekha

mahw-e-hairat hun mera khar ne rasta dekha
ek kirdar ka kirdar ne rasta dekha

kaun kahta hai talabgar ne rasta dekha
ek be-dar ka bedar ne rasta dekha

kam-nasibi ki mulaqat se mahrum rahe
khush-nasibi ki mere yar ne rasta dekha

anginat aae ruke aur rawana bhi hue
kab kisi shakhs ka sansar ne rasta dekha

apne walon ne musibat mein bhulaya lekin
dosti ke liye aghyar ne rasta dekha

main ne sachchai ko jis roz se apnaya hai
mera aksar rasan-o-dar ne rasta dekha

tujh se 'mahmud' use pyar bahut tha shayad
marte dam tak tere bimar ne rasta dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close