mai ka mushtaq hai dil aankh ka saudai hai

mai ka mushtaq hai dil aankh ka saudai hai
jazba-e-shauq ba-andaza-e-ranai hai

anjuman mein bhi kisi anjuman-ara ke baghair
dil se ta-hadd-e-nazar aalam-e-tanhai hai

shahr-e-gul anjuman-e-mah-washan ku-e-mughan
dil kahin bhi ho magar tera tamannai hai

jab bhi hum abtari-e-haal se mayus hue
zist mazi ki hasin yaad utha lai hai

rang pe dam se hai parwanon ke sara mahaul
shama ko wahima-e-anjuman-arai hai

shahr mein rah ke ye ehsas hua hai ki khushi
dur dehat mein bajti hui shahnai hai

hae wo husn ki chadhti hui kirnon ki udan
aah ye shauq ki tuti hui angdai hai

aansuon se kiya sarab dilon ko 'shaukat'
nahr nikli hai to is thal mein bahaar aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close