mai-kade mein jo tere husn ka mazkur hua sang-e-ghairat se mera shisha-e-dil chur hua ek to aage hi tha husn par apne nazan aaina dekh ke wo aur bhi maghrur hua subh hote hi hua mujh se juda wo mah-ru roz goya mere haq mein shab-e-dijur hua tegh mat khinch ki ek jumbish-e-abru bas hai gar mera qatl hi zalim tujhe manzur hua az-pae-dagh-e-dil-e-baada-parastan 'bedar' pumba-e-shisha-e-mai marham-e-kafur hua