mai piye mast hai sarshaar kahan jata hai is shab-e-tar mein ai yar kahan jata hai tegh-bar-dosh sipar hath mein daman-gardan ye bana surat-e-khunkhar kahan jata hai dil ko aaram nahin ek bhi dam yan tujh bin tu mere pas se dildar kahan jata hai ek aalam abhi hairat-zada kar aaya tu phir ab ai aaina-rukhsar kahan jata hai jam-o-mina-o-mai-o-saqi-o-mutrib ham-rah is sar-anjam se 'bedar' kahan jata hai