main apne jism mein kuchh is tarah se bikhra hun

main apne jism mein kuchh is tarah se bikhra hun
ki ye bhi kah nahin sakta main kaun hun kya hun

unhen khushi hai isi baat se ki zinda hun
main un ki daen hatheli ki ek rekha hun

main pi gaya hun kai aansoon ke sail-e-rawan
main apne dil ko samundar banae baitha hun

wo mere dost jo ek ek karke dur hue
main un ko aaj bhi apne qarib pata hun

muhit karne ki koshish fuzul hai mujh ko
nadi ka chhor nahin hun main bahta dariya hun

mujhi pe phenke hai patthar jo koi aata hai
ki jaise main teri khidki ka koi shisha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close