main bhi kya zabt aazmata hun tauba karta hun bhul jata hun gham sa rahta hun tujh se duri mein aur qurbat mein kho sa jata hun apni hasti ki azmaten aksar inkisari se jhuk ke pata hun kyun muqayyad hun zat mein apni jabki duniya se dil lagata hun us ki zulfon ko ab ke suljha kar khud ko uljha hua sa pata hun jaane wale ko ye nahin malum main tasawwur mein us ko lata hun gham-gusari mein dost ki 'adil' ranj sahta hun muskuraata hun