main chob-e-khushk sahi waqt ka hun sahra mein sahar pukarti mujh ko to sath chalta main mere wajud mein zinda sadi ka sannata tah-e-zamin hun koi bolta sa dariya main har ek zawiya mere lahu ke nam se hai bata raha hun nai wusaton ko rasta main bahut se log to jite hi ji ke marte hain bas ek shakhs ki marta hun roz tanha main tu aaina hai teri zat ajnabi to nahin qarib aa tujhe apna dikhaun chehra main ye is takalluf-e-beja ki kya zarurat hai ki ek mishal-e-jaan tha khushi se jalta main na jaane kaun tha dasht-e-azal-abad mein 'nisar' jo apne aap se milta to kyun bichhadta main