main hua tera majra tu mera majra hua

main hua tera majra tu mera majra hua
waqt yunhi guzar gaya waqt ke baad kya hua

kaisa guzishta din tha jo phir se guzarna pada
dhup bhi thi bachi hui saya bhi tha bacha hua

subh ke sath jae kaun sham ko le ke aae kaun
raat ka ghar basae kaun hai koi jagta hua

ek makan mein kuchh hua baat suni na ja saki
log gali gali se ab puchh rahe hain kya hua

pakda gaya tha kya karun shauq tha ye gadha bharun
subh tulua ka hua sham ghurub ka hua

sahn mein chaarpai par baitha hua hun der se
lamhon ka masala hun aur sadiyon se hun mila hua

aise mein bhi ajab nahin ji sakun aur mar sakun
apne kharab o khub ka hairati hun to kya hua

yun hi to chup nahin hun main koi to baat hai zarur
ye jo qaza hua hai khwab sajda tha jo qaza hua

aur main baqi rah gaya baaten banane ke liye
meri tarah ka ek shakhs tere liye fana hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close