main jab tawahhumat se yaksar guzar gaya apni hi shakl dekh ke kyon aaj dar gaya kal tak jo shor karte the khamosh ho gae shayad ki shahr mein koi diwana mar gaya be-aks aaina to kisi kaam ka na tha pathraw kyon hua ki wo tuta bikhar gaya rahon ne aankhen mund lin anjaane khauf se ek hadse ko sath liye wo jidhar gaya hairan hun ki dur se aaya tha mere sath apni kahani kah ke na jaane kidhar gaya