main jis irade se ja rahi hun usi irade se laD paDungi

main jis irade se ja rahi hun usi irade se lad padungi
mere sipahi ko kuchh hua to main shahzade se lad padungi

ye khel shahon ke martabe ka hadaf banenge hamare mohre
main bebasi mein shikast khae hue piyaade se lad padungi

main apni basti ki kachchi galiyon se ishq karti hun yaad rakhna
agar jo achchha bura kahega amir-zade se lad padungi

asir-e-naqsh-o-nigar mujh se nahin sambhalta ye chaak-e-hasti
main thak gai to bikharti mitti se aur burade se lad padungi

ye sabr kab tak nibhae jaun main khud se nazren churae jaun
jo sham-e-hijran ne jaan khai har ek wade se lad padungi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close