main kab se kitna hun tanha tujhe pata bhi nahin tera to koi khuda hai mera khuda bhi nahin kabhi ye lagta hai ab khatm ho gaya sab kuchh kabhi ye lagta hai ab tak to kuchh hua bhi nahin kabhi to baat ki us ne kabhi raha khamosh kabhi to hans ke mila aur kabhi mila bhi nahin kabhi jo talkh-kalami thi wo bhi khatm hui kabhi gila tha hamein un se ab gila bhi nahin wo chikh ubhri badi der gunji dub gai har ek sunta tha lekin koi hila bhi nahin