main kahan hun kuchh bata de zindagi ai zindagi! phir sada apni suna de zindagi ai zindagi! so gae ek ek kar ke khana-e-dil ke charagh in charaghon ko jaga de zindagi ai zindagi! wo bisat-e-sher-o-naghma ratjage wo chahchahe phir wahi mahfil saja de zindagi ai zindagi! jis ke har qatre se rag rag mein machalta tha lahu phir wahi ek shai pila de zindagi ai zindagi! ab to yaad aata nahin kaisa tha apna rang-rup phir meri surat dikha de zindagi ai zindagi! ek muddat ho gai rutha hun apne-ap se phir mujhe mujh se mila de zindagi ai zindagi! jaane bargashta hai kyun mujh se zamane ki hawa apne daman ki hawa de zindagi ai zindagi! rach gaya hai meri nas nas mein meri raaton ka zahr mere suraj ko bula de zindagi ai zindagi!