main kho gaya tha koi shai talash karte hue parae shahr mein apne talash karte hue phir ek subh mujhe aankh phodna padi thi hasin khwab ke reshe talash karte hue main sukhe ped se aksar kalam karta tha hawa-e-sabz ke lahje talash karte hue hum un parindon ke jaise hain jo zamin pe teri shikar ho gae dane talash karte hue kabhi kabhi to mukammal ghazal se milta hun sukhan ke shahr mein misre talash karte hue kahin kahin to mujhe aankh kharch karna padi nafis panw ke chhaale talash karte hue