main KHud apna lahu pine laga hun

main khud apna lahu pine laga hun
kahan pani kisi se mangta hun

ye duniya aag hai ek aag jis mein
main khud ko jhonk dena chahta hun

teri khamoshiyon ke panchhiyon ko
main aawazon ke dane bantta hun

akele-pan ke bihad jangalon mein
tumhaara nam le kar chikhta hun

lahakti aag ke tannur mein ab
tumhaari yaad zinda jhonkta hun

main apne-ap se naraaz hun ab
so apne aap ko kam tokta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close