main khud ko is liye manzar pe lane wala nahin ki aaina meri surat dikhane wala nahin tere falak ka agar chand bujh gaya hai to kya diya zamin pe bhi koi jalane wala nahin samundaron ki taraf ja raha hun jalta hua ki meri aag ko baadal bujhane wala nahin ye kaun nind mein aakar sirhane baith gaya main apna khwab kisi ko batane wala nahin ab is qadar bhi takalluf se mil rahe ho kyun tumhaare sath to rishta zamane wala nahin kamar kaman hui ja rahi yun 'gauhar' main jaise khud ko dobara uthane wala nahin