main ki gham ki aag mein dub kar sanwar gaya aur har gurez-pa apni maut mar gaya aap muzmahil na hon dil ki wardat par phul tha jhulas gaya rang tha bikhar gaya mujh se kya zawal ki munasibat ki dosto din dhale to aur bhi gham mera nikhar gaya un ko chhu liya nigah ne to ye laga mujhe jaise koi ruh mein dur tak utar gaya chehra-e-hatyat ko dekh kar lahu lahu aaj to main apne hi doston se dar gaya